Thursday, 15 January 2015

bachpan

Kitna pyara tha vo bachpan

Jab khelne ko ghar ka angan tha
Udne ko sara aasman tha
Jab koi yu bevajah rulata na tha
Vaha apne sapno ka gulista sa tha

Kitna pyara tha vo bachpan
Jab maa ki dath  se bachne k liye papa ka vo lad  pyar tha
Jab choti choti cheezo se khushiyo ka sansaar tha

Kitna pyara tha vo bachpan

Vo mitti k ghar ko banana,
Vo pattharo se unhe sajana
Vo school ko na jane k bahana
Vo teacher ka dath ke rulana

Kitna pyara tha vo bachpan

Kash vo suhane  din phir laut jaye
Vo khushyo se angan mera  phir  bhar jaye

Bachpan to chala gaya par vo masumiyat na jaye.....
Or isi  tarah ye din hum roz manaye....

1 comment: