Zamana nahi badla logo ki soch badal gayi ,
Dilo mein rishto ki tasveer badal gayi
Jin hatho mein mitti ki gudiya thi ,
Takniki se hatho ki vo lakeer
badal gayi
Kya hoga e dharti maa aab yaha koi nahi manta,
Tere gusse ke prakop ko koi nahi janta
Tu sehti gayi bhaar na ek baar kaha ,
Manushya ke badalte chehre ko har baar saha
Kyon pal pal kaat raha hai tere daman ko ,
Zisse sazaya tune har ek ke aangan
ko .
Kahi makan to kahi kuch or bana raha hai
Tere
astitva ko har pal manushya mita raha hai
Kyon nahi dekhta e manushya tu apni janni ka dard ,
Jise har kisi se
bacahana tha tera pehla kartavya .
Na vo bachpan raha na
vo jawani,
Na vo kagaj ki
kashti na vo pani .
Ye kuch or nahi tabahi ka sandesha hai ,
Jo
abhi manushya ki ankho se andekha hai
Aab na vo kisse rahe na vo kahani ,
Kabhi baad
to kabhi darati hai tsunami.
Apne esho aaram k liye dharti ko de raha hai dukh .
Nahi
janta kya hoga iske krodh ka rukh .
Badalte logo ne
humari janni ko itna dukh diya.
Phir
bhi vo maa thi usne har dard ghut liya .
No comments:
Post a Comment