Thursday, 31 October 2013

Badalti Soch




Zamana nahi badla logo ki soch badal gayi ,

                      Dilo mein rishto ki tasveer badal gayi

Jin hatho mein mitti ki gudiya thi ,

                      Takniki se hatho ki vo  lakeer badal gayi

Kya hoga e dharti maa aab yaha koi nahi  manta,

                      Tere gusse ke prakop ko koi nahi janta

Tu sehti gayi bhaar na ek baar kaha ,

                       Manushya ke badalte chehre ko har baar saha

Kyon pal pal kaat raha hai tere daman ko ,

                      Zisse sazaya tune har ek ke aangan ko .

Kahi makan to kahi kuch or bana raha hai

                       Tere astitva ko har pal manushya mita raha hai 

Kyon nahi dekhta e manushya tu apni janni ka dard ,

                       Jise har kisi se bacahana tha tera  pehla kartavya .
Na vo bachpan raha  na vo jawani,

                      Na vo kagaj ki kashti na vo pani .

Ye kuch or nahi tabahi ka sandesha hai ,

                      Jo abhi manushya ki ankho se andekha hai

Aab na vo kisse rahe na vo kahani ,

                      Kabhi baad to kabhi darati hai tsunami.

Apne esho aaram k liye dharti ko de raha hai dukh .

                      Nahi janta kya hoga iske krodh ka rukh .

 Badalte logo ne humari janni ko itna dukh diya.


                     Phir bhi vo maa thi usne har dard ghut liya .