Abhilasha
Main nadee sa beh chala hu,
zese sahil banke thehra hu .
lahro se apni dastaan baya hai,
phir bhi aankho mein ek haya hai,
Bus khwab hai sagar mein doob jane ka,
kya manzar hai nayi rut aane ka .
jee chahe bus beh chalu kahi sang tere,
shubahe hui teri shab bhi na rahe mere.
tu jal mera , mein bahaav hu,
mein bahunga chir annant.
tu pal mera ,mein thahraav hu,
har shad rahunga sang sang.
annant ka gathbandhan hai,
tarango ka ye manthan hai.
mann mein nayi umang hai,
bhawo mein ghulta koi rang hai.
bhaav vibhore ho gaya mann,
is ujjaval si gatha se .
bajne lage dhol mridang,
apne antar mann ki vyatha se.
nishchay liye mann mein,aab behta he chala hu.
tujhme sama jane ka har prayatn kar raha hu ...