Saturday, 4 October 2014

Bharat ka saccha NAYAK

Ek roti ki keemat samjh,

      irado ko pura karne nikla tha vo balak .

Na karm karne se sharmata,

  jiske mastak ka tez har shad jagmagata!

Apne drid nischay ko drishti me liye ,

       Vo balak ek shad na dagmagata...

Maa ka ashirvad liye,

       nikla tha drid sankalp liye .

Badal dunga desh ko maa ,

       Har baar yhi dohrata .

Sampoorn jeewan apni janni par vaar kar,

Chal pada apni raah mein har mushkilo ko paar kar.

Apne jawaa kadmo se usne badal di tasveer apne rajya ki,

Ab sankalp or badh chala,

 chala badalne kaya sampun samaj ki.

Ban gaya rajneta, par na bhoola apni maa ki chaya,

Duniya ki rangat ko chorr pehle maa ki chokhat par aaya.

Bola maa tujhko samjha tabhi bharat maa ka dard samjh paya

Tune mujhe janm diya tere ashirvad ki vajah se mein ye kar paya.

Maa ki prerna or ashirwad ko liye ,

Chal pada vo dharti maa k liye..

Aab desh ko brashtachar rahit banane ,

Garibo ko sahara dekar kabil karne.

Vo lekar aaya hai ek nahi umang ....

kehta  hai mein rajneta hu badal sakta hu bharat ki tasveer ,

Par Ye sapna tabhi  hoga pura jab  jud jaye isme bharat ka har ek veer.

Desh ko swach banane ke liye  khud jisne  pehle kadam badhaya,

Bhart maa ki seva ko kai neta aaye par ese kabhi na aaya.

Kahaniyo mein bharat  sone ki chidiya thi,
Ye to sabne sunaya,

Us sapne ki vastavikta ko jisne hume dikhlaya.

Namo namo ka nara aab har budhe bacche ki jubaan par chaaya,

Dhanya hui bharat maa jab se ye saccha nayak aaya.


This is tribute to our Prime Minister From my side....... 

Thursday, 14 August 2014

Azadi ke sahi Mayne

Azadi daman mein hai par hatho mein nahi,
Khushiya jag mein hai par har angan mein nahi,

Kisi ko roti bebas karti hai,
             Kisi ko bhari zebe bhi kam lagti hai
Koi footpath par guzara karta hai,
     Koi makhmali gaddo ka sarahna rakhta hai.

Koi sarhad par Zindagi lagaye betha hai,
          To koi lachaar ko dabaye betha hai.
Kisi ki beti dar se bahar nahi nikalti,
    Atyachar karne mein kisi kisi ki ruh nhi darti.

Koi sarhad ki goliyo ko seene se laga raha hai,
Koi bhrastachaar se dharti maa ko rula raha hai.

Vo azadi kab aayegi...
Jab koi bhooka na hoga,
Jab koi darta na hoga,
Jab kisi ki raat footpath par na hogi,
Jab kisi ki behan bevajh beva na hogi,

Azadi daman mein hai par hatho mein nahi,
Khushiya jag mein hai par har angan mein nahi.

Hume azadi ke mayne ko badalna hoga,
Desh to azad hai hume khud ko azad karna hoga.

Bhrshtachar na karo, na karne do.
Atyachar na saho ,na sehne do .

Ameero ki zebe to bhari hoti hai.
Kabhi kisi ke gareeb ke angan ko bhi hara bhara hone do.

Sahi mayne ek azadi ke yahi hai,

Jo amal kare in bato mein,

Har mayne mein azaad vahi hai....
    

Monday, 21 July 2014

Art Of L!v!ng





Climb the mountain, rise the Sun
                             
           Try to fly, touch the Sky.

Nothing is certain to live a Life...
                           
           Live every moment with full of Hike…

There are lot of ways to endure a zing...

         YOU have to peg it up to pull you intensifying it...

Love yourself first without concerning anyone…

       Hold out all your dreams with a full balanced run…

You have to face challenges, just keep it in your mind…

       Gather all your strength and get it bind….

You may fall on these turns while you rise up..

       But it will help you, keep it up …

The one who complete all the stages with hard work and without any fear...


Will get the best opportunity and life, but those people are rear...!!!!!!

Wednesday, 2 April 2014

LAUT KAR PARINDE GHAR KO CHALE


Laut kar parinde apne ghar ko chale,
                                      Jo gaye the kisi ko dhoondne neele gagan ke tale
Na paya na khoya na ashiyaan banaya
                                       Khwabo ka samandar tere dil mein samaya
Jo hota koi tera to tu laut khali aata nhi,
                                       Tere har sawal ka jawab tu kbhi paata nahi
Kuch patthar k makano ka saya, unpar esa pad gaya
                                       Ashiyan koi banaya tha andhiyo mein beh gaya.
Gar khabar hoti unhe to ye ashiyaan na banate
                                        Har khawab aankho k vo yun he na sazate
Bikhar jana he tha ek din har jude sapne ko
                                        Par cut gaye the parindo k par aab udne ko
Hausle buland the par raste band the
                                        Unchaiyaan choone k liye parinde malangh the.
Anshiyaan choor hua dil bhi toot gaya
                                        Har aaina sapne ka footkar bikhar gaya
Haarkar he sahi par ek umeed ki kiran liye
                                         Laut kar parinde apne ghar ko chale......