SANDESH
Kashti ka
zese sahil ko milna…..
Barish ki boondo ka
badal se girna….
Panchiyon ki
chehchahat ka kano mein pandna ,
Hawao ke jhokon se
pedo ka hilna…..
Kuch kehti
hai ye prakriti apne in isharon se….
Apne mousam
patjhad ya baharon se……………
Zese basant
har khushi ka paigam deti hai,
Barsaat har ek gum
ko bayan karti hai .
Sagar ki
lahron mein zese ek umang hoti hai ,
Behti nadi ke sang
zese irado ki kashti chalti hai .
Kuch kehti
hai ye prakriti apne in isharon se……
Apne mousam
patjhad ya baharon se…………
Kyon gati
hai koyal ek dhun lekar,
Kyon nachta hai more saawan mein khush hokar .
Kyon machli
ka jeewan hai pani mein rehkar,
Kyon parinde udte hai asmaan
mein jhoom jhoom kar.
Prakriti ke
ye ishare kuch sandesh dete hai …………………
Jeewan sukh
dukh ka phera hai ise jeene ki seekh dete hai .........